• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Hasrat-Zada Ne KHud-Kushi Manzur Ki Dil Se

Kisi Hasrat-Zada Ne KHud-Kushi Manzur Ki Dil Se

kisi hasrat-zada ne ḳhud-kushi manzur ki dil se

sada labbaik ki sun kar zamin-e-ku-e-qatil se

ḳhuda ke vaste dam bhar to ai bad-e-ajal tham ja

ki le luun kuchh hava main daman-e-shamshir-e-qatil se

Thaharna o dil-e-betab phir tu bhi to siine men

nikal aa.e taḌap kar mauj jab aghosh-e-sahil se

zamin se asman tak meri betabi ka charcha hai

sabaq leti hai bijli aa ke mere qalb-e-bismil se

koi tadbir socho taaki dil aa jaa.e qaabu men

kahin main qaid ho sakta huun in tauq-o-salasil se

abhi dekho to meri mashq kis had tak pahunchti hai

bana lunga kabhi tum ko bhi apna jazb-e-kamil se

gira tha qatra-e-avval jo mere ḳhun-e-nahaq se

uThi thi surḳh ik andhi zamin-e-ku-e-qatil se

vo ab aate hi honge aur yaan par aa ke baiThenge

ḳhudavanda ye baten kab talak ‘alim’ kare dil se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bilqis-zafirul-hasan

Meri Hatheli Mein Likkha Hua dikhai de

KHuda Ki Shan Wo KHud Ho Rahe Hain Diwane

Sham Dhale Us Bazm-E-Tarab Mein Mera Jaana KHub Hua

Ek Baja Hai Raat Ka Ab to Sone Do

Be-KHud Aisa Kiya KHauf-E-Shab-E-Tanhai Ne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet