• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Bekas Ko Ai Bedad Gar Mara To Kya Mara

Kisi Bekas Ko Ai Bedad Gar Mara To Kya Mara

sheikh-ibrahim-zauq

Sheikh Ibrahim Zauq

kisi bekas ko ai bedad gar maara to kya maara

jo aap hi mar raha ho us ko gar maara to kya maara

na maara aap ko jo khaak ho iksir ban jaata

agar paare ko ai iksir gar maara to kya maara

bade muuzi ko maara nafs-e-ammara ko gar maara

nahang o azhdaha o sher-e-nar maara to kya maara

khata to dil ki thi qabil bahut si maar khane ke

tiri zulfon ne mushkin bandh kar maara to kya maara

nahin vo qaul ka sachcha hamesha qaul de de kar

jo us ne haath mere haath par maara to kya maara

tufang o tiir to zahir na tha kuchh paas qatil ke

ilahi us ne dil ko taak kar maara to kya maara

hansi ke saath yaan rona hai misl-e-qulqul-e-mina

kisi ne qahqaha ai be-khabar maara to kya maara

mire aansu hamesha hain ba-rang-e-lal-e-gharq-e-khun

jo ghota aab men tu ne guhar maara to kya maara

jigar dil donon pahlu men hain zakhmi us ne kya jaane

idhar maara to kya maara udhar maara to kya maara

gaya shaitan maara ek sajda ke na karne men

agar lakhon baras sajde men sar maara to kya maara

dil-e-sangin-e-khusrau par bhi zarb ai kohkan pahunchi

agar tesha sar-e-kohsar par maara to kya maara

dil-e-bad-khvah men tha marna ya chashm-e-bad-bin men

falak par ‘zauq’ tir-e-ah gar maara to kya maara

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashir-badr

Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si

Yun Mukafat-E-Amal Sab Kuchh uTha Kar Le Gaya

KHuda Kah Kah Ke Jis Par Jaan Ware Ja Rahe Hain

Bagh Sara to Bayaban Na Hua Tha so Hua

nasir-kazmi

In Sahme Hue Shahron Ki Faza Kuchh Kahti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2026 ยท Urdu Poet