• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Banjar taKHayyul Par Kisi Be-Ab Rishte Mein

Kisi Banjar taKHayyul Par Kisi Be-Ab Rishte Mein

kisi banjar taḳhayyul par kisi be-ab rishte men

zara Thahre to patthar ban ga.e ahbab raste men

sarabon ki gali hai ya tire gaanv ka kona hai

laga hai ḳhaak par shishe ka ik talab raste men

abhi kuchh der pahle paanv ke niche na the badal

abhi phaila ga.i hain teri ankhen ḳhvab raste men

miri tayyariyan mere safar men ho ga.iin haa.il

kabhi ta.aviz baazu par kabhi mehrab raste men

samundar apne markaz men khincha hai meri ankhon ka

so ab mumkin nahin hai rokna sailab raste men

main kaafi der pahle jis ko ghar men chhoḌ aaya tha

khaḌa hai munh phula.e ab vahi mahtab raste men

safar asan nahin hota kamar pe laad kar duniya

chale to rafta rafta rah gaya asbab raste men

ham aise rah-rau the koi bhi manzil na ho jin ki

safine aarzu ke ho ga.e gharqab raste men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tumhaare Raste Se haT Gae Hain

Aazurda Nigahon Pe Ye Manzar Nahin Utra

KHabar Un Ko Na Ho Kuchh Bhi Hamein Taskin Bhi Mil Jae

poet

Hata do Chehre Se Gar dupatta Tum Apne Ai Lala-Fam Aadha

Har Jalwe Pe Nigah Kiye Ja Raha Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet