kis samt ja raha hai zamana kaha na jaa.e
ukta ga.e hain log fasana kaha na jaa.e
apna makan ujaaḌ ke sahraon ki taraf
vo shaḳhs kyuun hua hai ravana kaha na jaa.e
lamhon ki tarah guzri hain sadiyan to bar-ha
ik pal bana hai kaise zamana kaha na jaa.e
sho.ale bane hain lafz to kanTa hui zaban
ab kya karen jo tera fasana kaha na jaa.e
hai aankh ufuq pe barf ki surat jami hui
shab hogi kab sahar ka nishana kaha na jaa.e
kahne ko ye ghazal hai magar kya ghazal jise
nauha kaha na jaa.e tarana kaha na jaa.e
Leave a Reply