kis ka hai jurm kis ki khata sochna pada
rahte hain kyuun vo ham se khafa sochna pada
gul ki hansi men raqs-e-nujum-o-qamar men bhi
shamil hai kitni teri ada sochna pada
jab bhi miri vafaon ki baat aa gai kahin
un ko phir ek uzr-e-jafa sochna pada
ghunche udaas gul hain fasurda chaman chaman
kis ka karam hai bad-e-saba sochna pada
shayad tumhari yaad mire paas aa gai
ya hai mire hi dil ki sada sochna pada
jab bhi koi bhatak ke sar-e-rah aa gaya
kitni kathin hai rah-e-vafa sochna pada
zindan ki baat daar ke charche rasan ka zikr
kitni ajab hai tab-e-rasa sochna pada
Leave a Reply