tukda ik nazm ka
din bhar meri sanson men sarakta hi raha
lab pe aaya to zaban katne lagi
daant se pakda to lab chhilne lage
na to phenka hi gaya munh se, na nigla hi gaya
kanch ka tukda atak jaae halaq men jaise
tukda vo nazm ka sanson men sarakta hi raha
Leave a Reply