ki thi jis ko shakl-e-mahbubi ata
sar usi patthar se zakhmi ho gaya
har ghadi rahta tha aina-ba-dast
khud-satai ke siva karta bhi kya
ho gaya jab us ko idrak-e-jahan
tod kar aina us ne rakh diya
vo hua hai pairahan ka yuun asiir
khul ke ab hansna bhi mushkil ho gaya
is se badh kar aur kya ho us ka vasf
aadmi takhliq-o-takmil-e-khuda
us ko bahar ki khabar kya biich men
khinch kar baitha hua hai daera
hai yahan na-paid khatt-e-mustaqim
zindagi hai pech-o-kham ka silsila
Leave a Reply