khvah kar insaf zalim khvah kar bedad tu
par jo fariyadi hain un ki sun to le fariyad tu
dam-ba-dam bharte hain ham teri hava-khvahi ka dam
kar na bad-khuon ke kahne se hamen barbad tu
kya gunah kya jurm kya taqsir meri kya khata
ban gaya jo is tarah haq men mire jallad tu
qaid se teri kahan jaenge ham be-bal-o-par
kyuun qafas men tang karta hai hamen sayyad tu
dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe
yaad karte hain kare yuun hi hamen bhi yaad tu
dil tira faulad ho to aap ho aina-var
saaf yak-bari sune meri agar rudad tu
shaad o khurram ek aalam ko kiya us ne ‘zafar’
par sabab kya hai ki hai ranjida o nashad tu
Leave a Reply