khvab ke phulon ki taabiren kahani ho gaiin
khuun thanda pad gaya ankhen purani ho gaiin
jis ka chehra tha chamakte mausamon ki aarzu
us ki tasviren bhi auraq-e-khizani ho gaiin
dil bhar aaya kaghaz-e-khali ki surat dekh kar
jin ko likhna tha vo sab baten zabani ho gaiin
jo muqaddar tha use to rokna bas men na tha
un ka kya karte jo baten na-gahani ho gaiin
rah gaya ‘mushtaq’ dil men rang-e-yad-e-raftagan
phuul mahnge ho gae qabren purani ho gaiin
Leave a Reply