khushi ka saath mila bhi to dil pe baar raha
main aap apni tabahi ka zimmedar raha
adhure khvab gae din ajaan andeshe
miri hayat pe kis kis ka ikhtiyar raha
jo sab pe bojh tha ik shaam jab nahin lauta
usi parinde ka shakhon ko intizar raha
vo koi aur hi jazba tha sirf pyaar na tha
tujhe jo apna jatane ko be-qarar raha
na jaane kis ka taalluq tha mere saath ‘vasim’
koi bhi duur hua mujh ko sazgar raha
Leave a Reply