ḳhush-rang hai gul se gul-e-ruḳhsar tumhara
raihan se siva ḳhat hai numudar tumhara
matlub ho tum dil hai talabgar tumhara
ye aa.ina hai tishna-e-didar tumhara
yusuf ko kabhi muft bhi leti na ‘zuleḳha’
nazzara jo karti sar-e-bazar tumhara
daman ka bhi bosa na liya fart-e-adab se
ab tak nahin ye banda gunahgar tumhara
garmi se jo ḳhurshid-e-qayamat ki jalenge
yaad aa.ega ye saya-e-divar tumhara
ushshaq ke sajdon ka bhala zikr hi kya hai
hindu-o-musalman hai parastar tumhara
tuuti ki tarah kyuun na suḳhan-sanj ho ‘ahqar’
hai samne a.ina-e-ruḳhsar tumhara
Leave a Reply