ḳhudi ka razdan ho kar ḳhudi ki dastan ho ja
jahan se kya gharaz tujh ko tu aap apna jahan ho ja
bayan-e-pa.emali shikva-e-barq-e-tapan ho ja
gulistan-e-jahan ke patte patte ki zaban ho ja
sharik-e-karvan hone ki go taqat nahin tujh men
magar itni to himmat kar ki gard-e-karvan ho ja
tazalzul se bari ho tera istiqlal ulfat men
yaqin par yaqin ho ja guman-e-be-guman ho ja
kisi surat to sharh-e-arzu-e-shauq karni hai
zaban chup hai agar ai dil to aap apni zaban ho ja
zamane par bharosa kar na raz-e-ishq ka ai dil
jahan tak ho sake tu aap apna raz-dan ho ja
tujhe daghon ke lakhon mah-o-anjum mil hi ja.enge
uTh ai dard-e-dil par aah uTh kar asman ho ja
kabhi to aarzi sa ik tabassum lab pe aane de
kabhi to mehrban mujh par mire na-mehrban ho ja
tire aane pe ai tir-e-nigah-e-naz main ḳhush huun
dil-e-betab men aa kar hisab-e-dostan ho ja
bulandi naam se ai ‘arsh’ mil sakti nahin tujh ko
zamin-e-sher par auj-e-suḳhan se asman ho ja
Leave a Reply