ḳhuda ki be-ruḳhi par ro rahi hai
dua mujh se lipaT kar ro rahi hai
makin koi nahin hai ghar men lekin
kisi ki ruuh andar ro rahi hai
ghazal mayus ho kar har jagah se
khaḌi hai mere dar par ro rahi hai
nadi ki pyaas ka gham kaun samjhe
samundar-dar-samundar ro rahi hai
mohabbat ko koi ghar de ḳhudaya
bechari aaj dar-dar ro rahi hai
Leave a Reply