• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHuda Jaane Zaban Par Aaj Kis Kafir Ka Nam Aaya

KHuda Jaane Zaban Par Aaj Kis Kafir Ka Nam Aaya

poet

ḳhuda jaane zaban par aaj kis kafir ka naam aaya

mohabbat jhuum jhuum uTThi mashiyyat ka salam aaya

adab ai arzu-e-shauq vaqt-e-ehtiram aaya

junun ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya

tariq-e-ishq men aksar ik aisa bhi maqam aaya

qadam uThne nahin paa.e ki manzil ka salam aaya

maze ke saath guzra huun mohabbat ki manazil se

kabhi apna maqam aaya kabhi un ka maqam aaya

vo lamha bhi kisi ki anjuman men kya qayamat tha

nigahon ki zaban men dil ko jab dil ka payam aaya

yakayak aur dil ki dhaḌkanon ka tez ho jaana

sanbhal ai ishq phir shayad koi nazuk maqam aaya

shaguft-e-dil hi ke dam tak thi rang-o-bu ki duniya bhi

na phir koi kali chaTki na phir koi payam aaya

badal kar rah ga.iin ai ‘arzu’ qismat ki tahriren

ye kis ke dast-e-nazuk se mire hathon men jaam aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yar Ulfat Azab Lagti Hai

seema-ghazal

Hamare Sanehe Hum Ko Suna Rahe Kyun Ho

poet

Chal Nahin Sakte Wahan Zehn-E-Rasa Ke joD-toD

surKH Makan Dhalta Jata Hai Ek Barfili miTTi Mein

nasir-kazmi

Aaraish-E-Khayal Bhi Ho dil-Kusha Bhi Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet