ḳhud se nibah shaaq hua hai kabhi kabhi
saara vajud chaaq hua hai kabhi kabhi
DhunDa use to ḳhud se mulaqat ho ga.i
aisa bhi ittifaq hua hai kabhi kabhi
har zaviye se aks ko dekha hai aankh ne
har baat ka firaq hua hai kabhi kabhi
haa.il hai jo azal se mire hal-o-qal men
vo bhi ayaan nifaq hua hai kabhi kabhi
hanste hain jab bhi log to lagta hai yuun mujhe
mujh se bhi ye mazaq hua hai kabhi kabhi
ḳhamoshiyon ki tarz se bavar hua mujhe
dil be-hisi men taaq hua hai kabhi kabhi
‘rahat’ hai jis ki zaat se rishta qarib ka
vo bhi aziiz aaq hua hai kabhi kabhi
Leave a Reply