KHud Se Koi Mukar Gaya Hoga

ḳhud se koī mukar gayā hogā

ishq-dariyā utar gayā hogā

nahīñ dekhā koī garebāñ-chāk

ek majnūñ thā mar gayā hogā

phir rahā hai jo ik bagūla sā

ḳhvāb us kā bikhar gayā hogā

is liye kirchiyāñ haiñ chāroñ taraf

aa.ine se vo Dar gayā hogā

ab use yaad kyā dilā.eñ ham

kar ke va.ada mukar gayā hogā

Leave a Comment