kheton ke beach phuul ke bistar ke as-pas
mausam to aa ke baiTh mire ghar ke as-pas
be-qaid-o-rang kaundti rangin machhliyan
dekhi hain main ne gaanv ke pokhar ke as-pas
ye kya hua ki aaj bahut tez dhuup hai
saaya mila na shaḳh-e-tanavar ke as-pas
sarson ke kisht-zar men aisa laga ki huun
fitrat ki chhinT-dar si chadar ke as-pas
mujh ko na sat.h-e-ab pe kuchh bhi mila ‘asar’
ghota laga ke pahuncha huun gauhar ke as-pas
Leave a Reply