ḳhamushi hi ḳhamushi men dastan banta gaya
mera har aansu mire gham ki zaban banta gaya
aap ka gham jab sharik-e-qalb-o-jan banta gaya
ashk ka har qatra bahr-e-be-karan banta gaya
zulm TuuTa hi kiye qaa.em rahi shan-e-amal
bijliyan girti rahin aur ashiyan banta gaya
dhire dhire yaad un ki dil men ghar karti rahi
rafta rafta ishq un ka juzv-e-jan banta gaya
meri hasti bhi tire jalvon men gum hoti ga.i
tera jalva bhi farogh-e-la-makan banta gaya
rang laaya is qadar zauq-e-jabin-e-bandagi
har nishan-e-sajda tera astan banta gaya
jab tak ai ‘jumbish’ rahe vo ma.il-e-lutf-o-karam
har nafas ik zindagi-e-javidan banta gaya
Leave a Reply