itna to dosti ka sila dijiye mujhe
apna samajh ke zahr pila dijiye mujhe
utthe na ta-ki aap ki janib nazar koi
jitni bhi tohmaten hain laga dijiye mujhe
kyuun aap ki khushi ko mira gham kare udaas
ik talkh hadisa huun bhula dijiye mujhe
sidq-o-safa ne mujh ko kiya hai bahut kharab
makr-o-riya zarur sikha dijiye mujhe
main aap ke qarib hi hota huun har ghadi
mauqa kabhi pade to sada dijiye mujhe
har chiiz dastiyab hai bazar men ‘adam’
jhuti khushi kharid ke la dijiye mujhe
Leave a Reply