ḳhafa na ho ki tira husn hi kuchh aisa tha
main tujh se pyaar na karta to aur kya karta
Thahar ke sun to sahi gham ki Dubti avaz
palaT ke dekh to le manzar-e-shikast-e-vafa
tu ḳhvab tha to mujhe niind se jagaya kyuun
tu vahm tha to mire saath saath kyuun na chala
kahan kahan liye phirta kashan kashan mujh ko
lipaT gaya hai mire paanv se mira saaya
hava chali hai ki talvar si chali hai abhi
lahu men Duub gaya shaḳh shaḳh ka chehra
damak uThi hain jabinen mire ḳhayalon ki
lapak gaya hai kahin teri yaad ka sho.ala
kisi ko ḳhvahish-e-dasht-e-vajud hi kab thi
suna fasana-e-hasti to phir raha na gaya
sunahri rut ke kisi nilgun tanazur men
ḳhat-e-ufuq pe vo piila gulab phir na khila
Leave a Reply