kaun sayyad idhar bahr-e-shikar aata hai
tair-e-dil qafas-e-tan men jo ghabrata hai
zulf-e-mushkin ka jo is shokh ke dhyan aata hai
zakhm se sina-e-majruh ka char jaata hai
hijr men maut bhi aai na mujhe sach hai masal
vaqt par kaun kisi ke koi kaam aata hai
ab to allah hai yaran-e-vatan ka hafiz
dasht men josh-e-junun ham ko liye jaata hai
duub kar chah-e-zaqan siina mira dil nikla
qadd-e-adam se siva aab nazar aata hai
muzhda ai dil ki masiha ne diya saaf javab
ab koi dam ko labon par mira dam aata hai
tegh si chalti hai qatil ki dam-e-jang zaban
sulh ka naam jo leta hai to haklata hai
turra-e-kakul-e-pechan rukh-e-nurani par
chashma-e-aina men saanp sa lahrata hai
shauq tauf-e-haram-e-ku-e-sanam ka din raat
surat-e-naqsh-e-qadam thokaren khilvata hai
du-ba-du ashiq-e-shaida se vo hoga kyunkar
aine men bhi jo munh dekhte sharmata hai
sakht pachhtate hain ham de ke dil us ko ‘sayyah’
apni afsos javani pe hamen aata hai
Leave a Reply