kaun barham hai zulf-e-janan se
tang huun khatir-e-pareshan se
muzhda ai khar-e-dasht dast-e-junun
guzre ham daman o gareban se
daant kis ka hai jaam par saaqi
mai tapakti hai abr-e-naisan se
gar yahi rang hai zamane ka
baaz aaya main kufr o iman se
baith jaata hai aa ke mere paas
jo nikalta hai bazm-e-janan se
huur ashiq-navaz hai koi
pahle puchhenge ham ye rizvan se
Leave a Reply