kashtiyan manjdhar men hain naḳhuda koi nahin
apni himmat ke alava aasra koi nahin
manzilon ki justuju men aa ga.e us moḌ par
ab jahan se lauTne ka rasta koi nahin
ham ne puchha ḳhud ke jaisa kya kabhi dekha kahin
muskura kar us ne ham se kah diya koi nahin
zindagi ke is safar men tajraba ham ko hua
saath sab hain par kabhi pahchanta koi nahin
rafta rafta umr saari kaT ga.i apni yahan
ham ko lekin shahr bhar men janta koi nahin
Leave a Reply