karte hain vahi log jahan taza-tar abad
har daur men rakhte hain jo siina sharer-abad
pur-shor gulistan hain na ab dasht-o-dar abad
kya jaane kahan ho ga.e ahl-e-nazar abad
Thahrav kisi shai ke muqaddar men nahin hai
duniya hai vo jaada jise kahiye safar-abad
ḳhvabon ke sanam-ḳhane salamat hain to yunhi
fitnon se rahega ḳham-e-zulf-o-kamar abad
hamsa.egi-o-rabt ki ḳhushbu bhi kahin hai
karti hain baharen to nagar par nagar abad
naghmon se jahan raushni-e-dard thi kal tak
sannaTe se hai aaj vo shaḳh-e-shajar abad
‘kausar’ hai suḳhan-tab mira shahr-e-taḳhayyul
is shahr men hain aaj bhi a.ina-gar abad
Leave a Reply