dariyaon ka sahraon men bahna mira qissa
qisse men koi baat na kahna mira qissa
tha harf-e-malamat vo mira kaghzi malbus
logon ne magar shauq se pahna mira qissa
chalne do mujhi par miri avaz ke nashtar
tum apni sama.at pe na sahna mira qissa
poshak badalta raha badli jo kabhi rut
main phir bhi barahna huun barahna mira qissa
main zinda huun tujh se tiri zeba.ishen mujh se
ye nuur ka haala tera gahna mira qissa
lab kholti kaliyon ka qarina tiri guftar
baton ki mahak oḌhte rahna mira qissa
Leave a Reply