karta hai bekar ki baten kaam ki koi baat nahin
ghairon jaisi baat hai teri apnon jaisi baat nahin
jaam sabhi ke hathon men hai haath hamare ḳhali hain
khullam-khulla na-insafi saaqi achchhi baat nahin
mahfil men jis ko bhi dekho ruTha ruTha lagta hai
kaḌvahaT hai avazon men koi miThi baat nahin
kalima tera sapna tera fikr tiri aur tera ḳhayal
sirf tiri hi baat zaban par aur kisi ki baat nahin
kahne ko to kah di tu ne apne dil ki saari baat
sachcha.i hai lekin ye ki ye bhi saari baat nahin
kaise milen ham tum se yaaro kaise bula.en ghar apne
gham hi gham hain paas hamare koi ḳhushi ki baat nahin
na-insafi har janib hai har su zulmat hi zulmat
dekh ke ye sab kyuun sab chup hain kahte haq ki baat nahin
pahle kya kya kuchh kah Daala phir ye kah kar saaf ga.e
kar Daali hai bhuul zaban ne sochi-samjhi baat nahin
tere liye hi jiita huun aur tere liye hi marta huun
munh dekhi ‘javed’ hain baten dil se nikli baat nahin
Leave a Reply