• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaisi Waraftagi Se Dekhe Hai

Kaisi Waraftagi Se Dekhe Hai

kaisi varaftagi se dekhe hai

aadmi aadmi ko dekhe hai

jaag jaa.e hai hasrat-e-didar

jab bhi koi kisi ko dekhe hai

itna saada to vo nahin lagta

jis qadar sadgi se dekhe hai

us ko fursat se dekhti huun main

vo jo kam-fursati se dekhe hai

tere chehre pe kya nazar jaa.e

dil tiri kaj-ravi ko dekhe hai

kyon na jalvon ki dil pe barish ho

tujh se baḌh kar tujhi ko dekhe hai

dekh kar us ko dekhna hai yahi

koi kab tak kisi ko dekhe hai

main mohabbat se us ko takti huun

aur vo dushmani se dekhe hai

kyon na ankhen phir us ki dariya hon

jo musalsal nami ko dekhe hai

chand ki apni raushni hai ‘sahar’

chand kab chandni ko dekhe hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Manzil-E-Sada Se Safar Kar Rahe Hain Hum

Be-Sabab Bhi Raqib Hote Hain

Kahe Ko Aise DhiT the Pahle jhuTi Qasam Jo Khate Tum

akhtar-ul-iman

Apahij Gadi Ka Aadmi

poet

Jo Teri Yaadon Se Is Dil Ka Aaftab Mile

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet