• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaif-E-Junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe

Kaif-E-Junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe

kaif-e-junun sahi yahi halat bani rahe

lillah meri un ki mohabbat bani rahe

jo ho gaya so ho gaya ab us ko chhoḌiye

yuun kijiye ki ishq ki azmat bani rahe

mere gunah hazar sahi sau ki ek baat

ye hai ki dil men aap ki rahmat bani rahe

ai dost tere milne ki surat nahin sahi

kuchh tere kaam aane ki taqat bani rahe

didar ke ḳhayal ki jur.at nahin mujhe

dar ko salam karne ki aadat bani rahe

ai ishq tu ne ḳhuub kiya baagh baagh dil

ta-umr in gulon ki ye nik.hat bani rahe

vo aa ga.e hain ḳhud hi miri zindagi men ab

ankhon men is yaqin ki jalvat bani rahe

har su ayaan bahisht har ik gaam par iram

har lamha vasl hai ye aqidat bani rahe

ya-rab main kar gaya huun kuchh aisi hi ik ḳhata

yuun kijiyo ki dahr men izzat bani rahe

‘rahbar’ ham un se kahte hain ham par jafa karen

un ko dua.en dene ki aadat bani rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

toD kaDiyan Zamir Ki Anjum

shad-azimabadi

Kaba O dair Mein Jalwa Nahin Yaksan Un Ka

Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-Ghar Mein Rahta Hun

Teri Sanson Ka Zer-O-Bam Jaanam

Bahut Mushkil Hua Rasta Hamara

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet