ka.ī jalve tirī pahchān ke dhoke se nikle haiñ
siyāsat saiñkaḌoñ chehre tire chehre se nikle haiñ
hamāre daur ke bachche sabaq paḌhte haiñ chāhat kā
kitāboñ ke bajā.e dil har ik baste se nikle haiñ
har ik bhaa.ī kī ḳhvāhish hai ki baTvārā ho ab ghar kā
abhī ham mulk kī taqsīm ke sadme se nikle haiñ
idhar dekho yahāñ maañ hai udhar hai baap bachchoñ kā
zamāne bhar ke sab rishte isī rishte se nikle haiñ
rasan tak koī jaatā hai koī maqtal talak ‘hāfiz’
jo raste husn vāloñ ke hasīñ kūche se nikle haiñ