kahāñ ke jām-o-subū kyā tulūa-e-mai-ḳhāna
tirī nigāh na kartī jo kār-e-rindāna
harīm-e-husn na ka.aba na sahn-e-but-ḳhāna
dil-e-shikasta-e-āshiq hai ḳhuld-e-jānāna
ye terī yaad kā e.ajāz thā ki faiz-e-junūñ
har ik maqām se guzrā huuñ be-niyāzāna
bat-e-sharāb thī ḳhāmosh dil-zada mai-kash
ye kaun aayā ki lau de uThā hai mai-ḳhāna
qalandarī mirā maslak sikandarī hai tarīq
guzar rahā huuñ do-ālam se be-niyāzāna
chhupā rahā huuñ zamāne se dil ke zaḳhmoñ ko
ki terā naam na ho jaa.e zeb-e-afsāna
baḌhā jo ilm to zehnoñ ko kar gayā tārīk
haqīqatoñ kā banāte haiñ log afsāna
vo kam-nazar haiñ jo dete haiñ sham.a ko ilzām
ḳhud apnī aag meñ jaltā hai aap parvāna
ḳhudā-shanās-o-ḳhud-āgahī sarisht-e-junūñ
ḳhirad-asīr tū ham haiñ ḳhirad sanam-ḳhāna
Thahar gayā huuñ kahāñ jāda-e-tamannā meñ
har aarzū nazar aatī hai ek but-ḳhāna
zamīn-e-hazrat-e-‘iqbāl’ meñ ye taaza ġhazal
huzūr-e-hazrat-e-‘iqbāl’ merā nazrāna