• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Sukun to Kabhi Iztirab Bhi Jhela

Kabhi Sukun to Kabhi Iztirab Bhi Jhela

kabhi sukun to kabhi iztirab bhi jhela

khuli jo aankh to anjam-e-ḳhvab bhi jhela

qadam qadam pe purane sabaq bhi yaad aa.e

qadam qadam pe badalta nisab bhi jhela

bayaz-e-dil ke sunahre huruf bhi chume

kitab-e-jan pe likha intisab bhi jhela

hamara haq bhi musallam tha qatre qatre par

hamin ne tishna-labi ka azaab bhi jhela

kabhi jo a.ina-ḳhane ki sair ko nikle

to ek manzar-e-ḳhud ehtisab bhi jhela

chale to saare zamane ko saath le ke chale

ruke to alam-e-ḳhud-ijtinab bhi jhela

na jaane kis ki rahi justuju ‘ziya’ ham ko

ki ham ne ik dil-e-ḳhana-ḳharab bhi jhela

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaqin Ke Bhi Kya Kya Hijabaat Hain

Baja Ye Raunaq-E-Mahfil Magar Kahan Hain Wo Log

poet

Ai Rashk-E-Qamar Aage Tere Shams-O-Qamar Kya

Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se

Baaten to Kuchh Aisi Hain Ki KHud Se Bhi Na Ki Jaen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet