kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya
hamare kaam men sau sau tarah futur aaya
hazar shukr vo ashiq to jante hain mujhe
jo kahte hain ki tira dil kahin zarur aaya
jo ba-havas tha dekha usi ne jalva-e-yar
jise surur na aaya use surur aaya
khuda vo din bhi dikhae ki main kahun ‘bekhud’
janab-e-‘dagh’ se milne main ram-pur aaya
Leave a Reply