kabhi dhanak si utarti thi un nigahon men
vo shokh rang bhi dhime pade havaon men
main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajiib thi us dasht ki sadaon men
vo ik sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na duub jaae kahin tund-rau havaon men
sukut-e-sham hai aur main huun gosh-bar-avaz
ki ek vaade ka afsun sa hai fazaon men
miri tarah yunhi gum-karda-rah chhodegi
tum apni baanh na dena hava ki banhon men
nuqush paanv ke likhte hain manzil-e-na-yaft
mira safar to hai tahrir meri rahon men
Leave a Reply