• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kab Baithte Hain Chain Se Iza Uthae Bin

Kab Baithte Hain Chain Se Iza Uthae Bin

poet

kab baithte hain chain se iiza uthae bin

lagta nahin hai ji kahin lagga lagae bin

jab tak na be-qarar hon padta nahin qarar

aata nahin hai chain hamen tilmilae bin

be-ah-o-nala munh se nikalti nahin hai baat

hairan baithe rahte hain aansu bahae bin

zindan lage hai ghar jo kisi ka na hon asiir

aate nahin ba-khud kahin ham aae jaae bin

divane gar na hon to pari-ru na dekhen sair

bigde hai baat hal-e-pareshan banae bin

jumbish na dast-o-pa men ho be-shorish-e-junun

afsurda-taba rahte hain dhumen machae bin

gar ho na dard-e-ishq to be-dard ham kahaen

kuchh lutf-e-guftugu hi nahin hae-vae bin

kya josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piyen

kuchh kaifiyat nahin hai ye pyala pilae bin

gar bar men ho na koi to pahlu-tahi rahe

kya baithna hai zaanu se zaanu bhidae bin

koi na de dikhai to kya khaak dekhiye

rahte asir-e-gham hain kisi ke bulae bin

afkar saikdon hon agar ho na fikr-e-ishq

varastagi kahan hai kahen ji phansae bin

qatil se gar na miliye to ‘jurat’ hamari kya

juun gul shagufta ho na koi zakhm khaae bin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jo KHud Ko Paen to Phir Dusra Talash Karen

poet

Sahil Ke Talabgar Bhi Kya KHub Rahe Hain

ismail-merathi

Kis Liye Parwana Khakistar Hua

allama-iqbal

Aflak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab Aakhir

Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet