• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-E-KHwab Ke Sath

Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-E-KHwab Ke Sath

juda hai dard ka mafhum lafz-e-ḳhvab ke saath

shu.ur-e-zat nikharta hai inqalab ke saath

nazar uTha ke to dekho ufuq ke chehre par

miri ghazal ka taqaddus hai aftab ke saath

azal se dasht-o-bayaban men ghumti hai hayat

kabhi naqab se haT kar kabhi naqab ke saath

shafaq hai ya tiri ankhon ki mauj-e-be-ḳhvabi

jo ghul rahi hai har ik qatra-e-sharab ke saath

guzar di hain ka.i intizar ki shamen

kuchh iztirab ki ḳhatir kuchh iztirab ke saath

mire vajud ki tanha.iyon ke ziine se

utar raha hai sambhal kar koi hijab ke saath

rivayaton ke davavin dekhne vaalo

na.e mizaj ka chehra paḌho kitab ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shadab shaKH-E-Dard Ki Har Por Kyun Nahin

MAHMUD SHABISTARI

Sawal – Visal-e-Mumkin-O-Wajib Baham Chist

Main Bikhar Na Jaun Waraq Waraq Mujhe Taq-E-Dil Mein Sajaiye

bushra-ejaz

Manzaron Ke darmiyan Manzar Banana Chahiye

Aankhen Khuli Khuli Hain Nazar Le Gaya Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet