• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Usne Kiya Use Sila de

Jo Usne Kiya Use Sila de

obaidullah-aleem

jo us ne kiya use sila de

maula mujhe sabr ki jaza de

ya mere diye ki lau badha de

ya raat ko subh se mila de

sach huun to mujhe amar bana de

jhuta huun to naqsh sab mita de

ye qaum ajiib ho gai hai

is qaum ko khu-e-ambiya de

utrega na koi asman se

ik aas men dil magar sada de

bachchon ki tarah ye lafz mere

maabud inhen bolna sikha de

dukh dahr ke apne naam likkhun

har dukh mujhe zaat ka maza de

ik mera vajud sun raha hai

ilham jo raat ki hava de

mujh se mira koi milne vaala

bichhda to nahin magar mila de

chehra mujhe apna dekhne ko

ab dast-e-havas men aina de

jis shakhs ne umar-e-hijr kaati

us shakhs ko ek raat kya de

dukhta hai badan ki phir mile vo

mil jaae to ruuh ko dikha de

kya chiiz hai khvahish-e-badan bhi

har baar naya hi zaiqa de

chhune men ye dar ki mar na jaun

chhu luun to vo zindagi siva de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ishwa Kyun Dil-Ruba Nahin Hota

Zor Se Aandhi Chali to Bujh Gae Sare Charagh

Ye Qafile Yaadon Ke Kahin Kho Gae Hote

KHud Ko Sharminda-E-Be-Dad Kiya Hai Kis Ne

Samne Apne Tu Bula Ke to Dekh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet