
Syed Kashif Raza
jo saans saans sahi us saza ka naam na lo
hamare saath raho bas vafa ka naam na lo
kaho to ye kaho dil ko ḳhush aa rahi hai hava
masham-e-jan se guzarti saba ka naam na lo
huzur-e-husn jo rahna hai yuun hi ḳhush-auqat
sitara o jigar-e-soḳhta ka naam na lo
mili hai jo nigah-e-yar ki isharat se
raza-e-yar hai ye tum qaza ka naam na lo
bikharne lagti hai ruḳh par haya usi jaisi
hamare samne us ḳhush-ada ka naam na lo
ye ahd-e-ishq tire mere darmiyan hi rahe
ḳhuda ke vaste is men ḳhuda ka naam na lo

Leave a Reply