jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar
haqiqat teri kya hai pahle ye pahchan paida kar
jahan jaane ko sab dushvar hi dushvar kahte hain
vahan jaane ka koi rasta asan paida kar
haqiqat ka kahe jo haal kar aisi zaban paida
mohabbat ke sunen jo giit aise kaan paida kar
hudud-e-alam-e-takvin men sab mumkin hi mumkin hai
tu na-mumkin ke jhagḌe men na paḌa imkan paida kar
ilahi bhed tere us ne zahir kar diye sab par
kaha tha kis ne tu ‘simab’ ko insan paida kar
Leave a Reply