• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Nam Sab Se Ho Pyara Use Makan Pe Likh

Jo Nam Sab Se Ho Pyara Use Makan Pe Likh

jo naam sab se ho pyara use makan pe likh

badan ki had se guzar aur is ko jaan pe likh

baja hai karte hain paani pe dastaḳhat sab log

jo hausla hai to naam apna asman pe likh

tu likhne baiTha hai mere ḳhulus ka qissa

yaqin par nahin likhta na likh guman pe likh

sahifa-e-dil-e-betab ki na.i tafsir

qalam uTha aur use vaqt ki zaban pe likh

safar mudam safar hi to hai safar ka sila

tu apna qissa-e-la-samtiyat uḌaan pe likh

sanvar shana-e-fan se tu zulf-e-qaus-e-quzah

tu zindagi ke ḳham-o-pech phir kaman pe likh

jo ”qul” masur pe likhte hain un ka fan hai juda

tu ḳhun-e-dil se koi sher martaban pe likh

har ek chiiz yahan prem hi se milti hai

ye ishtihar ‘karamat’ tu har dukan pe likh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Khul Kar aaKHir Jahl Ka Elan Hona Chahiye

Is Rah Mein Aate Hain Bayaban Bhi Chaman Bhi

poet

Raushni Dil Mein Nazar Aai Hai

poet

Na Mohabbat Na Mohabbat Ki Ada Hai Yaro

MULLA JAMI

Aanche dil Az Pesh A-danist Bud

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet