jo ab bhi un ki yaden a.iyan hain
to ankhen ashk-e-ḳhun barsa.iyan hain
purane zaḳhm kar deti hain taaza
sitamgar kis qadar purva.iyan hain
ye roz-o-shab ye sub.h-o-sham kya hain
nigar-e-vaqt ki angḌa.iyan hain
agar dil hi hua sha.ista-e-gham
kahan duniya men phir ra.ana.iyan hain
ye kya qissa nikala tu ne naseh
dil-e-betab par ban a.iyan hain
sanbhal ja ai dil-e-nadan sanbhal ja
ki aage har taraf rusva.iyan hain
nikale sab ne apne apne matlab
suḳhan men kis qadar gahra.iyan hain
bana Daala zamane bhar ko dushman
bala-e-jan miri dana.iyan hain
maqam-e-shukr hai ye bhi to ‘az.har’
muqaddar men agar tanha.iyan hain
Leave a Reply