jo aa sako to batao ki intizar karen
vagarna apne muqaddar pe e.atibar karen
charagh-e-ḳhana-e-ummid hai abhi raushan
abhi na tark-e-ta.alluq ko iḳhtiyar karen
hamare tul-e-masafat ka ye taqaza hai
sharik-e-hal tujhe ai ḳhayal-e-yar karen
ye gul-ruḳhon ka hai sheva ba-nam-e-naz-o-ada
nigah-e-ashiq-e-bismil ko ashk-bar karen
ye ahl-e-ishq ko zeba nahin sar-e-bazar
junun ke naam pe daman ko taar taar karen
hamare aba-o-ajdad ka ye virsa hai
zamin-e-dasht ko sarmaya-e-bahar karen
javaz-e-zindagi Thahri hai jis ki yaad ‘ra.is’
usi se dil ke ta.alluq ko ustuvar karen
Leave a Reply