jiye ḳhud ke liye gar ham maza tab kya hai jiine men
bahe auron ki ḳhatir jo hai ḳhushbu us pasine men
hai jin ke bazuon men dam vo dariya paar kar lenge
bahut mumkin hai Duben vo jo baiThe hain safine men
ye kaisa daur aaya hai saron par taaj hai un ke
nahin ma.alum jin ko farq patthar aur nagine men
hamare doston ki muskurahaT ik chhalava hai
hai paaya zahr aksar ḳhub-surat abgine men
gae tum duur jab se dil ye kahta hai karo tauba
maza aata nahin ḳhud hi uTha kar jaam piine men
sitam sahne ki aadat is qadar ham ko paḌi ‘niraj’
kahin kuchh ho, nahin ab khaulta hai ḳhuun siine men
Leave a Reply