jiine ka na kuchh hosh na marne ki ḳhabar hai
ai shobada-pardaz ye kya tarz-e-nazar hai
siine men yahan dil hai na pahlu men jigar hai
ab kaun hai jo tishna-e-paikan-e-nazar hai
hai tabish-e-anvar se aalam tah-o-bala
jalva vo abhi tak tah-e-daman-e-nazar hai
kuchh milte hain ab puḳhtagi-e-ishq ke asar
nalon men rasa.i hai na aahon men asar hai
zarron ko yahan chain na ajram-e-falak ko
ye qafila be-tab kahan garm-e-safar hai
ḳhamosh ye hairat-kada-e-dahr hai ‘asghar’
jo kuchh nazar aata hai vo sab tarz-e-nazar hai
Leave a Reply