jigar-e-sokhta hain aur dil-e-biryan hain ham
shoale ki tarah sada dida-e-giryan hain ham
muttasil lakht-e-jigar karte hain ankhon se sada
aah kis ashiq-e-gham-dida ki mizhgan hain ham
kabhi hanste hain kabhi rote hain jalte hain kabhi
gul hain shabnam hain ki ya atish-e-sozan hain ham
ham men hi alam-e-akbar hue go jurm-e-saghir
mazhar-e-jalva-e-haq hazrat-e-insan hain ham
dahr pur-shor hai hathon se hamare ai aah
afrinash men magar nala-o-afghan hain ham
fikr-e-jamiyyat-e-dil ham ko kahan aah ‘hasan’
khatir-ashufta-e-gesu-e-pareshan hain ham
Leave a Reply