andar ka aadmi kabhi bahar na aa saka
jo dil ka mudda.a tha zaban par na aa saka
har lamha ashk-bar rahi hai hamari aankh
ma.amul par kabhi ye samundar na aa saka
nikle the yuun to log ta.aqub men be-shumar
lekin koi bhi tere barabar na aa saka
ai shahr-e-yar mera to daman tha chhed chhed
achchha hua ki main tire dar par na aa saka
ḳhali raha hai kasa-e-chashm apna umar bhar
hisse men apne ek bhi manzar na aa saka
Leave a Reply