luta do luta do
ye afkar-o-anvar ka
nim-khufta khazana
umadte simatte
talatum se dhalo
koi dard-agin fasana
makan la-makan hai
zaman be-karan hai
nihan hai
isi mehvar-e-arzu men
tumhare khad-o-khal ka
aks-e-mauhum
parvaz ka jazba-e-be-karana
ghani aur be-nur rahon men
banaogi kya ashiyana
luta do lundha do
bachi hai jo ab jaam men
ye sharab-e-shabana
ki anjam-e-hasti
fana ke samundar men hai
duub jaana
Leave a Reply