• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-Ikhtiyar Aai

Jawani Yaad Hum Ko Apni Phir Be-Ikhtiyar Aai

poet

javani yaad ham ko apni phir be-ikhtiyar aai

hua divanon men jab ghul bahar aai bahar aai

hua tha marg se ghafil main kis din josh-e-vahshat men

saba kyuun le ke mere samne musht-e-ghubar aai

dikhae ranj piiri ke ajal tere taghaful ne

tujhe aana tha pahle aah tu anjam kaar aai

hamare tausan-e-umr-e-ravan ke tez karne ko

shamim-e-zulf dosh-e-bad-e-sarsar par savar aai

na paaya vaqt ai zahid koi main ne ibadat ka

shab-e-hijran hui akhir to subh-e-intizar aai

na kuchh khatra khizan ka hai na ehsan-e-bahar us par

adam se apni shakh-e-arzu be-barg-o-bar aai

hamari dekhiyo ghaflat na samjhe vaae nadani

hamen do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai

jo nang-e-ishq hain vo bul-havas fariyad karte hain

lab-e-zakhm-e-‘havas’ se kab sada-e-zinhar aai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nadiya-ambar-lodhi

Kis Ka darwaza Khatkhatati Hai

Surat Se Wo Bezar Hai Malum Nahin Kyun

afsar-mahpuri

Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-Jumban Rakhna

Kuchh Hunar Aur Samajhte Hain Na Fan Jaante Hain

poet

Ziya-E-Subh-E-Tabassum Ki Aarzu Na Karo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet