jafa-e-ahd ka ilzam ulaT bhi sakta huun
use yaqin na tha main palaT bhi sakta huun
main apne ishq men shahin mizaj rakhta huun
palaT to jaata huun lekin jhapaT bhi sakta huun
junun men zulm ki gardan utaar leta huun
to ik nigah-e-mohabbat men kaT bhi sakta huun
adu-e-shahr main barud huun mohabbat ka
hadon se baat baḌhegi to phaT bhi sakta huun
bisat-e-arz pe chahun to phail ja.un main
ho ramz-e-yar to dil men simaT bhi sakta huun
Leave a Reply