jabin ka chand banun aankh ka sitara banun
kisi jamal-e-shafaq-tab ka sahara banun
mohabbaton ki shikaston ka ik ḳharaba huun
ḳhudara mujh ko girao ki main dobara banun
ye bhigi bhigi havaon men sard sard mahak
jo dil ki aag men utre to kuchh gavara banun
har ek ghuncha-dahan ka yahi taqaza hai
jamaliyat ka main aḳhiri shumara banun
zamana manzar-e-mauhum ka hai shaida.i
ye aarzu hai koi daur ka nazara banun
har ek mauj ho uThti javaniyon ki dhanak
banun to aise samundar ka main kinara banun
mujhe lagan ki main a.ine ki misal rahun
use havas ki rivayat-e-sang-e-ḳhara banun
ghazal vo kyuun na ho ‘farigh’ dur-e-adan ki jahan
har ek sher ko zid ho ki shah-para banun
Leave a Reply