jab vo kahta hai samundar hai kinaya us ka
rang yak-laḳht badalta hai sarapa us ka
kab pukarega bhala naam bhanvar se mera
kab bhala aa.ega phir mauj men dariya us ka
dil to tahzib-e-ana ka hai parastar magar
kya kare koi jo ho jaa.e ishara us ka
kab sanvarega vo taqdir mire lafzon ki
kab nazar aa.ega ash.ar men chehra us ka
ḳhud ko is tarah se gumnam kiya hai us ne
shahr to shahr raha bhi nahin sahra us ka
main to badnam sahi ḳhair koi baat nahin
chand jo dekhta rahta hai daricha us ka
saath jab donon chale the to kahan chuuk hui
mera koi bhi nahin aur zamana us ka
Leave a Reply